Saturday, 4 June 2011

Yeh duniya agar mil bhi jaye toh kya hai




Lyrics:



ye mahloN, ye taKhtoN, ye taajoN ki duniya
ye insaaN ke dushman, samaajoN ki duniya
ye daulat ke bhuukhe, rivaajoN ki duniyaa
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai

har ik jism ghaayal, har ik ruuh pyaasii
nigaahoN me uljhan, diloN meiN udaasi
ye duniyaa hai yaa aalam-e-badhavaasii
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai

jahaaN ik khilona hai insaaN ki hastii
ye bastii hai murda-parastoN ki bastii
yahaaN par to jeevan se hai maut sastii
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai

javaani bhaTaktii hai bezaar bankar
javaaN jism sajate haiN baazaar bankar
jahaaN pyaar hota hai vyopaar bankar
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai

ye duniyaa jahaaN aadmi kuchh nahiiN hai
vafaa kuchh nahiiN, dostii kuchh nahiiN hai
jahaaN pyaar ki qadr hi kuchh nahiiN hai
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai

jalaa do ise  phuuNk DaaloN ye duniyaa
jalaa do jalaa do
jalaa do ise phuuNk DaaloN ye duniyaa
mere saamne se haTaa lo ye duniyaa
tumhaari hai tum hi sambhaalo ye duniyaa
ye duniyaa agar mil bhi jaaye to kyaa hai

No comments:

Post a Comment