Saturday 4 June 2011

Jinhein naaz hai hind pe




Movie Name: Pyaasa (1957)
Singer: Mohd Rafi
Music Director : Burman S D
Lyrics : Sahir Ludhianvi
Year: 1957
Producer : Guru Dutt Films
Director : Guru Dutt
Actors: Guru Dutt, Waheeda Rehman, Rehman

Ye kooche ye neelam ghar dilkashi ke
Ye loote huwe caravan zindagi ke
Kahan hai, kahan hai, muhafiz khudi ke
Jinhe naaz hai hind par vo kahan hai
Kahan hai, Kahan hai, Kahan hai

Ye purpech galiyan, ye badnaam bazaar
Ye gumnaam raahi, ye sikkhon ki jhankaar
Ye ismat ke saude, ye sanso ki taqraar
Jinhe naaz hai.

Ye sadiyonse be-khauf sehami si galiyaan
Ye maslee huwi adh-khilee zard kaliyaan
Ye bikati huwi khokhali rang-raliyaan
Jinhe naaz hai.



Vo ujale dareechon me payal ki chhan chhan
Thaki haari sanson pe table ki dhandhan
Ye be-ruuh kamaron me khansi ki than-than
Jinhe naaz hai.

Ye phoolon ke gajare, ye peekon ke cheente
Ye be-baak nazren, ye gustakh fiqare
Ye dhal ke badan aur ye beemar chehare
Jinhe naaz hai.

Yahaan peer bhi aa chuke hain jawaan bhi
Tanuumand bete bhi, abbaa miyan bhi
Ye biwi bhi hai aur behn bhi hai maa bhi
Jinhe naaz hai.

Madad chahati hai ye hawwa ki beti
Yashoda ki ham-jins, radha ki beti
Payambar ki ummat zulai khan ki beti
Jinhe naaz hai.

Zaraa mulk ke raahbaronko bulalvo
Ye kuche ye galiyan ye manzhar dikhavo
Jinhe naaz hai hindpar unko lavo
Jinhe naaz hai hind par vo kahan hai
Kahan hai, kahan hai, kahan hai

No comments:

Post a Comment