Saturday 4 June 2011

woh subah kabhi toh aayegi




Lyrics by Sahir Ludhyanvi:


vo subah kabhii to aayegi! vo subah kabhii to aayegii!
in kaali sadiyoN ke sar se jab raat ka aaNchal Dhalkega
jab dukh ke baadal pighleiNge, jab sukh ka saagar chhalkega
jab ambar jhoom ke naachega, jab dharti naGhme gaayegi!
vo subah kabhii to aayegi!
ji subah ki Khaatir jug jug se, ham sab mar markar jeete haiN
jis subah ke amrit ki dhun meiN, ham zahr ke pyaale peete haiN
in bhooki-pyaasii roohoN par ik din to karam farmaayegi
vo subah kabhii to aayegii!
maanaa ki abhii tere-mere armaanoN ki qeemat kuchh bhi nahiiN
miTTii kaa bhii hai kuchh mol magar, insaanoN ki qeemat kuchh bhi nahiiN
insaanoN ki izzat jab jhooTe sikkoN meiN na toli jaayegi
vo subah kabhii to aayegii!
daulat ke liye jab aurat ki ismat ko na becha jaayegaa
chaahat ko na kuchlaa jaayega, Ghairat ko na bechaa jaayegaa
apnii kaali kartootoN par jab ye duniyaa sharmaayegii
vo subah kabhii to aayegii!
beeteiNge kabhii to din aaKhir, ye bhook ke aur bekaari ke
TuuTeiNge kabhii to but aaKhir, daulat kii ijaaraadaari ke
jab ek anokhi duniyaa ki buniyaad uThaayii jaayegii
vo subah kabhii to aayegii!
majboor buRhaapaa jab suuni aahoN ki dhuul na phaaNkega
maasoom laRakpan jab gandi, galiyoN meiN bheek na maaNgegaa
haq maaNgne waaloN ko jis din sooli na dikhaayii jaayegii!
vo subah kabhii to aayegii!
phaaqoN ki chitaaoN par jis din insaaN na jalaaye jaayeiNge
seenoN ke dahakte dozaKh meiN armaaN na jalaaye jaayeiNge
ye nark se bhi gandi duniyaa, jab svarg banaayii jaayegii
vo subah kabhii to aayegii!
jis subah ki Khaatir jug jug se, ham sab mar markar jeete haiN
jis subah ke amrit ki dhun meiN ham zahr ke pyaale peete haiN
vo subah na aaye aaj magar, vo subah kabhii to aayegii!!
vo subah kabhii to aayegii!
vo subah kabhii to aayegii!

No comments:

Post a Comment