Wednesday, 22 June 2011

Hai preet jahan ki reet




Lyrics:


Film - Purab Aur Paschim
Music - Kalyanji Anandji
Singer - Mahendra Kapoor

Jab Zero Diya Mere Bharat Ne
Bharat Ne Mere Bharat Ne
Duniya Ko Tab Ginti Aai
Taaron Ki Bhasha Bharat Ne
Duniya Ko Pehle Sikhlayi
Deta Na Dashamlau Bharat To
Yoon Chand Pe Jaana Mushkil Tha
Dharti Aur Chand Ki Doori Ka
Andaaza Lagana Mushkil Tha
Sabhyta Jahan Pehle Aayi
Pehle Janmi Hai Jahan Pe Kala
Apna Bharat Woh Bharat Hai
Jis Ke Peeche Sansar Chala
Sansar Chala Aur Aage Badha
Yoon Aage Badha Badhta Hi Gaya
Bhagwan Kare Yeh Aur Badhe
Badhta Hi Rahe Aur Phoole Phale

Hai Preet Jahan Ki Reet Sada
Maein Geet Wahan Ke Gaata Hoon
Bharat Ka Rehnewala Hoon
Bharat Ki Baat Sunata Hoon

Kaale Gore Ka Bhed Nahin
Har Dil Se Hamara Naata Hai
Kuch Aur Na Aata Ho Humko
Hamein Pyar Nibhana Aata Hai
Jise Maan Chuki Saari Duniya
Maein Baat Vahi Dohrata Hoon
Bharat Ka Rehne Wala Hoon...

Jeete Hon Kisi Ne Desh To Kya
Humne To Dilon Ko Jeeta Hai
Jahan Ram Abhi Tak Hai Nar Mein
Naari Mein Abhi Tak Sita Hai
Itne Paavan Hain Log Jahan
Maein Nit Nit Sheesh Jhukata Hoon
Bharat Ka Rehne Wala Hoon...

Itni Mamta Nadiyon Ko Bhi
Jahan Maata Kehke Bulate Hain
Itna Aadar Insaan To Kya
Pathhar Bhi Pooje Jaate Hain
Us Dharti Pe Maine Janam Liya
Yeh Soch Ke Maein Itraata Hoon
Bharat Ka Rehne Wala Hoon...

No comments:

Post a Comment