Friday 10 June 2011

Sarfaroshi ki tamanna

Lyrics:

Ek se karta nahin kyun doosra baat cheet
Dekhta hoon main jise wo chup teri mehfil mein hai
Wo chup teri mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab humare dil mein hai

Dekhna hai zor kitna baazoo-e-qaatil mein hai

Waqt aane par bataa denge tujhe o aasmaan

Hum abhi se kya bataayen kya humare dil mein hai
Kya humare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab humare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna baazoo-e-qaatil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab humare dil mein hai

Khench kar laai hai sabko qatl hone ki ummeed

Aashiqon ka aaj jamghat kuchaa-e-qatil mein hai
Kuchaa-e-qatil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab humare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna baazoo-e-qaatil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab humare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab humare dil mein 

No comments:

Post a Comment