Lyrics:
Purab mein, suraj ne chhedi, jab kirno ki shehnaai
Chamak uthha sindoor gagan pe, pachchim tak laali chhaayi
Chorus: Hmm…hmm…
Dulhan chali, haan pahen chali,
Ho re dulhan chali, ho pahen chali teen rang ki choli
Baagon mein laheraaye ganga jamuna, dekh ke duniya doli
Chorus: Dulhan chali, ho pahen chali teen rang ki choli
Chorus: Aa…ho…
Taaj-mahal jaisi taaza hai surat
Chalti phirti ajanta ki murat
Mel milaap ki mehandi rachaaye…balidaanon ki rangoli
Dulhan chali
Chorus: Ho pahen chali teen rang ki choli
Chorus: Ho…
Aur sajegi abhi aur sawregi
Chadhhti umariya hai aur nikhregi
Apni aazaadi ki dulhaniya…deep ke upar holi
Dulhan chali
Chorus: Ho pahen chali teen rang ki choli
Baagon mein laheraaye ganga jamuna, dekh ke duniya doli
Dulhan chali
Chorus: Ho pahen chali teen rang ki choli
Desh prem hi azaadi ki dulhaniya ka war hai
Is albeli dulhan ka sindoor suhaag amar hai
Maata hai Kasturba jaisi… baabul Gandhi jaise
Chorus: Baabul Gandhi jaise
Chaacha iske Nehru Shaastri… daren na dushman kaise
Chorus: Daren na dushman kaise
Veer Shivaaji jaise viren, Lakshmi baai behna
Lakshman jis ke bodh Bhagat Singh, uska phir kya kehna
Chorus: Uska phir kya kehna
Jiske liye jawaan baha sakte hain khoon ki ganga
Chorus: Jiske liye jawaan baha sakte hain khoon ki ganga
Aage peechhe teenon sena le ke chalen tiranga
Sena chalti hai le ke tiranga
Chorus: Sena chalti hai le ke tiranga
Ho koyi hum praant ke vaasi ho koyi bhi bhaasha-bhaashi
Sabse pehle hain bhaaratvaasi
Chorus: Sabse pehle hain bhaaratvaasi -4
No comments:
Post a Comment