Friday, 10 June 2011

Ae watan




Lyrics:


jalte bhi gaye
kahte bhi gaye
azaadi ke parwaane
jeena to usi ka jeena hai
jo marna watan pe jaane

ai watan ai watan hamko teri qasam
teri raahon mein jaan tak lutaa jaayenge
phool kyaa cheez hai tere kadmon pe ham
bhent apne saron ki chadhaa jaayenge
ai watan ai watan hamko teri qasam
teri raahon mein jaan tak lutaa jaayenge
ai watan ai watan

sah chuke hain sitam ham bahut ghair ke
ab karenge harek waar kaa saamnaa
sah chuke hain sitam ham bahut ghair ke
ab karenge harek waar kaa saamnaa
jhuk sakegaa na ab sarfaroshon ka sar
chaahe ho khooni talwar ka saamnaa
chaahe ho khooni talwar ka saamnaa

sar pe baandhe kafan
ham to hanste huye
maut ko bhi gale se lagaa jaayenge
ai watan ai watan

jab shaheedon ki arthi uthe dhoom se
deshwaalon tum aansoo bahaanaa nahin
par manaao jab aazaad bhaarat kaa din
us ghadi tum hamen bhool jaanaa nahin
laut kar aa saken na jahaan me to kyaa
yaad banke dilon me to aa jaayenge
ae watan ae watan hamko teri qasam
teri raahon mein jaan tak lutaa jaayenge
ae watan ae watan

ai watan ai watan hamko teri qasam
teri raahon mein jaan tak lutaa jaayenge
phool kyaa cheez hai tere kadmon pe ham
bhent apne saron ki chadhaa jaayenge
ai watan ai watan hamko teri qasam
teri raahon mein jaan tak lutaa jaayenge
inqalaab zindabaad
inqalaab zindabaad
inqalaab zindabaad
inqalaab zindabaad
inqalaab zindabaad
inqalaab zindabaad

No comments:

Post a Comment