Friday, 15 April 2011

Hum Dekhengey




Song information:


lyrics: Faiz Ahmed faiz
singer: Iqbal bano


lyrics:


Hum dekhenge
Lazim hai ke hum bhi dekhenge
Woh din ke jis ka waada hai
Jo loh-e-azl pe likha hai
Hum dekhenge

Jab zulm-o-sitam ke koh-e-garaan
Rui ki tarah ud jayenge
Hum mehkumoon ke paun tale
Yeh dharti dhad dhad dhadkagi
Aur ehl-e-hukum ke sar upar
Jab bijli kad kad kadkegi
Hum dekhenge

Jab arz-e-khuda ke Kabe se
Sab but uthwaye jayenge
Hum ahl-e-safa mardood-e-haram
Masnad pe bithaye jayenge
Sab taaj uchale jayenge
Sab takht giraye jayenge

Bas naam rahega Allah ka
Jo ghayab bhi hai hazir bhi
Jo nazir bhi hai manzar bhi
Uthega analhaq ka naara
Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
Aur raaj karegi khalq-e-khuda
Jo main bhi hoon aur tum bhi ho

Hum dekhenge
Lazim hai ke hum bhi dekhenge
Hum dekhenge



Review:


One of the most scintillating song from Faiz Ahmed Faiz and equally well sung by Iqbal Bano. This was sung in defiance of dictator's Gen Zia dictat against wearing sari, Iqbal bano went on with the song creating a charged up atmosphere as you can hear public support to the song.If only this defiance could have won !

No comments:

Post a Comment